Mobile mein Pehle se ram aur rom kyun used hota hai
Naye phone ya computer mein ram aur storage Pehle se kyun aadha full hota hai
Mobile mein Pehle se ram aur rom kyun used hota hai
Introduction
Mobile mein Pehle se ram aur rom kyun used hota hai : Aaj main aapko bataunga ki kisi phone ya computer mein bina kisi application ya software ke ya Phir aapne naya phone ya computer liya hota hai, tab bhi Usmein ram 49% ya aadha Pehle se hi kyun used hota hai aur Yeh bhi ki kaise ram full ho jaata hai. To Jaanne ke liye bane rahiye mere Saath last tak.
Hello doston mera naam hai Pradeep aur aapka swagat hai mere website PradeepKharsel.com par. To chiye suru karte hai bina kisi rukabat ke.
Reason for taking ram in computer
Mobile mein Pehle se ram aur rom kyun used hota hai : Maan lijiye aapne ek naya computer laya aur Usmein abhi tak koi software ya application install nahi kiya Phir bhi aap dekhte hain ki Usmein aadha matlab lagbhag 49% tak ram Pehle se hi used hai.
To aisa hone ka karan hai;- Maan lijiye aapne Windows ka ek computer liya to main aapko bata doon ki Windows bhi ek software hai. Aur wo bhi run karne ke liye ram ka use karta hai. Phone storage kaise khali karen. Sirf yahi nahi balki aise bahut Saare system softwares hote hain jo ram lete hain. Jaise ki file explorer, chrome browser etc.
Which computer has low ram problem
Mobile mein Pehle se ram aur rom kyun used hota hai : Dekhiye isse koi problem to nahi hota aapke computer ya laptop ko, agar aapke uss device mein r zyada hai to. Mobile storage full ho jaye to kya karen. Mobile storage full ho jaye to kya karen.
Agar aapke phone mein ram kam hoga to wo system apps hoge hain wo to ram lenge hi aur Aa puska kuch bhi nahi kar sakte. Aur aap jab bhi software install karenge wo bhi ram lega. Aur aisa karte karte aapka ram bhi full ho jayega. Aur Baad mein uska performance slow ho jayega aur wo bhi hang karega.
Lekin jab aapke computer ya Phir laptop ka ram zyada hoga to wo jaldi full nahi hoga aur aap usko zyada softwares ke Saath Saath zyada din tak bhi use kar sakte hain.
Manage computer's ram
Aap isko puri tarah se thik to nahi kar sakte. Lekin isko kuch hadh tak kam zaroor kar sakte hain.
Ways to increase r in computer
Iske liye 2 tarike hain aur wo hain;-
(I) Stop running services
(II) Upgrade ram
Stop running services
To background apps close aur ram free karne ke liye aapke running services mein jaayein aur jis software ko aap use karna nahi chahate to usko stop karein. Phone ki storage kaise badhaye. Jisse ki wo background mein run na ho aur ram bhi na le.
Upgrade ram
Iska ek aur isse bhi badhiya tarika Yeh Hai ki Windows mein aap iske ram ko upgrade kar sakte hain. Mobile ki phone memory storage kabhi full nahi hogi. Aur isse aapki Yeh problem kaafi hadh tak thik ho jaati hai.
Reason for taking ram in mobile
Mobile mein Pehle se ram aur rom kyun used hota hai : Dekhiye phone mein ram kam hota hai aur applications ke mb zyada. Computer mein to ram ko upgrade kar sakte hain lekin phone mein nahi. Dekhiye, phone mein jo softwares hote hain wo din ba din upgrade hote rehte hain aur ram bhi time ke Saath zyada lete hain.
Maan lijiye kisi phone mein 4 gb ka ram hai, aur aapne Usmein softwares install karke rakhkhein hote hain. To jaise jaise aapka phone purana hota jaata hai waise bhi aapka ram bhi full hota jayega.
Iska karan Yeh Hai ki;- jo bhi softwares aapke phone mein install hote hain wo time ke Saath upgrade hote rehte hain. Mobile mein space kaise banaye. Aur unmein naye naye features add hote rehte hain aur Saath Mein zyada mb ya storage ke bhi wo softwares ho jaate hain. To usse run hone mein zyada ram use hota hai. Aur Yeh har uss software ke Saath hota hai jo ki aapne apne mobile phone mein install kar rakkha hai.
Ways to increase ram in mobile
Yahan par iske liye 2 tarike hain aur wo hain;-
(I) Clear data or Re-install app
(II) Change the phone
Clear data or Re-install app
Aap Iss tarike se ram ke Saath storage ko bhi khali kar sakte hain, bas aapko karna Yeh hoga.
Clear data
Mobile mein Pehle se ram aur rom kyun used hota hai : Aap jin softwares ka use kar rahe hain jo ki ofline aur online use wale software hote hain. Ofline wale to zyada ram ya storage nahi lete leikn zyadstar online wale zyada ram aur storage lete hain.
Aisa isiliye kyunki aap i mein mobile data ka istemal karte hain. Aur jitna aapka mobile data (MB) use hota hai, Usmein se kuch percent Ismein storage ke roop ya fornm mein reh jaate hain ya convert ho jaate hain.
Aur clear data karne se jo bhi stogare (MB) liya hota hai na wo sab delete ho jaata hai aur wo software Pehle jaisa ho jaata hai aur uska mb bhi kam ho jaata hai. Pehle ke jitna jab wo naya naya install hua tha aapke phone mein.
Reinstall app
Agar aapko koi app update maangta hai aur aap usko update kar dete hain, to uska jitna mb tha usse lagbhag double ho jaata hai.
For example ;-
Agar wo jo 30 mb ka tha to update ke Baad 55 ya 60 tak ho jayega.
To iska upaye Yeh Hai ki aap usko uninstall karde in aur dobara install karein. Kyunki aisa karne se jo 30 mb tha wo 60 mb hone ke bajaye 40 ya 45 mb ka ho jayega. Matlab ki 2 guna hote se to Yeh achchha hai na ki 25% ke aaspas tak hi badhe.
Isse aapka storage bhi kam lega aur ram bhi. Aur aisa karke aap kam ram ya kam storage wale mobile ko zyada din tak use kar sakte hain.
Change the phone
Mobile mein Pehle se ram aur rom kyun used hota hai : Agar aap soch rahe hain ki Yeh chhota mota jugad laga ke uss bekar phone ko nahi chalana. To aapke Paas Sirf ek hi tarika bacha hai aur wo hai ek naya phone purchase karne ka.
Pehle wala tarika maine isiliye bataya ki har koi dusra phone afford nahi kar sakta. Ya Phir mere Kehne ka matlab Yeh Hai ki har kisi ke Paas itna paisa nahi hota ki wo saal mein 1 mobile change kar sake.
Maanlo ki main gaya papa ke Paas aur bola ki papa mujhe ek naya phone chahiye, kyunki Ismein ram kam hai aur main games nahi khel paata. To papa bolenge ki chal bhag Jaake padhai kar aaya bada game khelne. Aur aise bhaga denge. Khair Yeh to ek mazak tha.
Conclusion
Mobile mein Pehle se ram aur rom kyun used hota hai : To yahan par maine bata diya mobile aur computer ke ram ko lekar ki wo Pehle se hi used kyun hota hai aur kaise wo full ho jaata hai. I hope aapko samajh Aa Gaya hoga dhannyabaad.
0 Comments: