1 megapixel mein kitne pixel hote hain
What is megapixel and how it works? Full explaination in hindi with detail
Megapixel and it's work |
1 megapixel mein kitne pixel hote hain
Introduction
1 megapixel mein kitne pixel hote hain: Doston jab bhi hum baat karte hain mobile ke camera ki to sabse pehle hum Kehte Hain ki mere phone mein 8 megapixel ka camera hai, koi kehta hai mere Paas 12 megapixel ya Phir 48 megapixel ka hai ya tak ki kuch phones mein 64 megapixel tak ka bhi camera dekhne ko milta hai. Aur hum bhi soch lete hain ki Iss phone ka itna megapixel hai to isse hi kharid lete hain.
Actually hum zyada megapixel ko dekhte hain aur soch lete hain ki Ismein photo achchha aayega aur bahut hi achchha aayega naa Jane kya kya. Par kya kabhi aapne socha hai ki Yeh megapixel hota kya hai ya megapixel kaise kaam karta hai?
To Jaanne ke liye bane rahiye humare Saath anth tak.
What is megapixel
Doston megapixel jo hota hai jo hum normally Kehte Hain wo short form hota hai million pixels ka, iska matlab hai 1 megapixel ka matlab 1 million pixels. Ab million ka matlab kya hota hai 10 lakh. Iska matlab ki jo 1 megapixel hai uske andar 10 lakh pixels hote hain.
To doston Yeh pixel kya hota hai?
What is pixel and how it works
1 megapixel mein kitne pixel hote hain: Dekhiye har ek camera mein sabse pichhe ke taraf jo component laga hota hai sabse niche Jaake, aage aapke lense bagera Jaake sabse niche jo component hota hai usko hum bolte hain sensor.
Ab dekhiye jo image sensor hota hai na Usmein Chhote Chhote pixels lage hote hain.
Yeh Jo Chhote Chhote pixels hain, Yeh har ek pixel apne aap mein capable hain ek information ko capture karne Mein. To Yeh kya karta hai, jab aap photo le rahe hote ho har ek pixel uss jagah ko capture karta hai, light ko, uske andar ka colour aur Usmein kitna contrast etc. hai unn sabhi cheezon ko wo jo pixel jo hai store karta hai. Ab jab Saare pixels aapas mein jud jaate hain to aapko ek puri image dikhayi deti hai aur wo Phir camera processing karke finally gallery mein dikha deta hai. Zitne zya pixels honge utni hi zyada detail aapko uss photo mein dekhne ko milegi. Iska matlab Yeh Hai ki Sirf Sirf megapixel badhne se picture achchi nahi aayegi, picture achchha khhichne ke liye uska sensor bhi badhana bahut zaroori hai.
Megapixel ka fayeda Sirf Yeh Hai ki aap photo ko zoom karenge to wo photo phategi nahi aur Sirf detail mein hi dikhayi degi. Aur kuch nahi hota pixel se.
Aapne dekha hoga kayi phones mein ki kisi phone par 8 mega-pixel ka camera hote hue bhi wo 12 mega-pixel ke camera wale phone se bhi achchha photo khheech leti hai. Iska main reason hai uss phone ke camera ks sensor. Agar sensor powerful hoga to photo bhi achchi aayegi aur zyada megapixel zaroorat hi nahi padegi.
Dslr vs Mobile
1 megapixel mein kitne pixel hote hain: To doston yahan par Dslr ka jo se sor hoga wo bada hoga mobile camera sensor ke comparison mein. Agar dono mein same number of pixels honge jaise ki 12mp aur 12mp to Dslr ke jo pixels honge wo zyada bade honge aur mobile ke Chhote. Ab aise mein jo information capture karta hai ek pixel to wo Dslr mein kaafi achchhe se kar payega aur aapko achchi image quality dekhne ko milegi.
To ab hum baat karte hain mobile phones ki to dekhiye kuch phones 12 megapixel ke hote hain lekin quality bahut achchi aati hai. Kyunki unn phones mein jo sensor use kiya jaata hai wo kaafi bada sensor hota hai, to ek individual pixel ka jo size hai wo badh gaya hai. To isko ek example ke through samajhte hai.
Example;-
Maan lijiye Sony ka jo Usmein 20 megapixel ka camera hai aur uska sensor bahut chhota hai, ab ussi sensor ko agar hum 12 megapixel ke camera mein convert kar diya, to ek pixel ka size kitna badh jayega dekhiye. Aur ussi ke bajah se hi jo image ki quality milti hai wo bahut achchi hoti hai, lowlight condition mein bhi aur daylight condition mein bhi. Kyun ki uss pixel ka size badh Jaane se wo 1 pixel zyada information capture kar pasta hai aur hume image quality badhiya dekhne ko milti hai.
Conclusion
1 megapixel mein kitne pixel hote hain: To doston Yeh tha megapixel ko lekar mera ek chhota sa concept ki megapixel kya hota hai aur kaise kaam karta hai. I hope aapko pasand aaya hoga. To milte hain Phir kabhi kisi aur naye topic ke Saath dhannyabaad.
0 Comments: