Gaming channel 0 subscribers se start kaise karen 2021 in hindi
Gaming youtube channel ko jaldi grow kaise karein 2020 without any equipment
Gaming channel 0 subscribers se start kaise karen 2021 in hindi
Introduction
Gaming channel 0 subscribers se start kaise karen 2021 in hindi : Kya Aap bhi suru karna chahate hain ek gaming channel youtube par? Aur aapko pata nahi hai ki channel ko 0 subscribers se million subscribers tak grow kaise karein. To main aaj aapko bataunga ki aap kaise Yeh kar sakte hain.
Aur aapko koi zyada investment bhi nahi karni padegi. To Jaanne ke liye bane rahiye mere Saath aakhir tak.
Requirement-1
Gaming setup
Gaming channel 0 subscribers se start kaise karen 2021 in hindi : Agar aap soch rahe hain ki ek gaming channel ko start ya grow karne ke liye aapko ek achchha gaming setup chahiye to main aapko bata doon ki aap bilkul galat soch rahe hain.
Visit here : Pradeepkharsel.com
Mere Kehne ka matlab Yeh Hai ki aapko Yeh karne ke liye aapke Paas koi pc ya computer hona zaroori nahi hai. Aap Yeh Ek mobile se bhi bhi kar sakte hain. Bas zarooat hai sirf ek achchhe device ki jismein ki aapka game lag na kare.
Agar aap computer ya pc se karna chahate hain to zaroori nahi wo 70000 ya 1 lakh ka ho aap 15000 ya 20000 rupay ke computer se bhi gaming kar sakte hain. Bas sart Yeh Hai ki aapka game lag nahi hona chahiye.
Ya Phir aapke Paas Pc ya computer nahi hai to aap mobile se bhi kar sakte hain. Ismein bhi Yeh sart hai ki Usmein game lag na kare. Yeh sab aapki Pehli requirement hai.
Requirment-2
Use a good screen recorder
Gaming channel 0 subscribers se start kaise karen 2021 in hindi : Aapko ek aisa software use karna hoga recording ke liye jo ki record karte Waqt game lag naa kare. Bahut Saare aise apps hote hain jismein game lag karta hai. To isiliye ek achchha screen recorder istemaal karein.
Ya Phir aap Live stream karna chahate hain to iske liye bhi kuch applications mil jaati hain gooe play store par aap unka istemaal kar sakte hain.
Requirment-3
Use a mic
Gaming channel 0 subscribers se start kaise karen 2021 in hindi : Aapka teesra requirement hai ek mic. Agar aap soch rahe hain ki bina mic ke bhi stream kar sakte hain to aisa aap bilkul bhi mat karna. Kyunki bina mic ke aapki aawaz bhi achchi nahi aayegi aur aawaz hi achchi nahi aayegi to log aapki video ko dekhna pasand nahi karenge. Isiliye ek mic ka zaroor istemaal karein.
Yeh aapko market mein 1000 se 2000 rupay Mein mil jayega ya Phir usse bhi kam mein. Aur ek baat jab bhi aap stream karein to mic ko apne muh se thoda door rakhein. Taaki aapki aawaz mein koi noise naa ho.
Share with people
Gaming channel 0 subscribers se start kaise karen 2021 in hindi : Sabse Pehle to apna ek group banalo apne friends ke Saath aur unko convince karo ki mera ek channel hai aur main itne baje daily stream karta hoon ya videos daalta hoon. Aur roz ek video zaroor daalo. Apne friends ko bolo ki wo unke friends ko batayein aur wo unke.
Aisa karte karte aapke channel par views aane suru ho jayenge. Kyun ki kisi bhi new youtube channel par views aane mein time lagta hai. Agar aap aise karenge to aapke channel par views aana start ho jayega aur youtube bhi unko rank aur suggest mein daalna suru kar dega.
Play trending games
Apne channel ko grow karna chahate hain to aapko unn games ko khelna hoga joki present time mein trend mein hai ya Phir bade bade YouTubers jis game ko khel rahe hain.
Aur Ek Baat, jaanlo ki game wahi chalte hain ya trend karte hain ya Phir pasand kiye jaate hain jo ki bade bade YouTubers khel rahe hote hain.
For example;-
PubG, Among us and Free fire etc.
Agar hum India mein dekhen to log wahi games khelna ya dekhna pasand karte hain jo Bade bade YouTubers khel rahe hote hain. Aur uss game ko har 12,13 saal ka bhi bachchaa khelna Chahata hai. Isiliye trending games ko hi select karein aur khelein.
Do something extraordinary
Gaming channel 0 subscribers se start kaise karen 2021 in hindi : Agar aap zyada ordians paana chahate hain to aap ko kuch extra karna hoga jaise ki ;- aap beech beech mein jokes ya dialogue maara karein.
Ya Phir video upload karne ke Baad uspar voice over karein. Jaise ki aapne gameplay karte Waqt kaise khela, kaise enemy ko maara aise aap boliye. Taaki logon ko isse kuch sikhane ko mile. Lekin Iss baat ka dhyan rakhein ki aapko koi Gaali nahi deni hai.
Aaj ke time bahut Saare gaming youtube channel high cometetion mein hain isiliye aapko unn sabko beat karne ke liye kuch extra karna bahut zaroori hai.
Keep motivate
Gaming channel 0 subscribers se start kaise karen 2021 in hindi : Apne aapko kabhi bhi demotivate na hone dein. Aakar log kya karte hain ki jab unhone naya naya channel banaya hota hai aur unke channel par views aur subscribe nahi aate to wo demotivate ho jaate hain.
Isiliye humesha positive raho. Aur main to kehta hoon ki aap aisa socho hi mat ki aap apne channel ke liye stream kar rahe ho. Aap bas isko enjoy karo apne friends ke Saath aur regular videos upload karo. Aur dekh te hi dekhte aapka channel dheere dheere grow karne lagega.
Maintain your health
Aksar dekha jaata hai ki bahut Saare gamers ka health thoda thik nahi hota. Isiliye jab aap stream karein to aap 1.5 hours se 2 ghante tak hi stream ya gaming karein.
Aap isko time ke Saath apne physical strength ke hisaab se badha sakte hain. Lekin zyada nahi khelna aapko. Isse aapki aankhein kharab ho sakti hain. Ya Phir aapke padhai par asar ho sakta hai isiliye zyada gaming na karein.
Ar sabse zaroori baat aapko regular videos upload karni hi karni hai jab aap naye hote ho.
Conclusion
Gaming channel 0 subscribers se start kaise karen 2021 in hindi : To Yeh tha doston ek gaming channel ko start ya Phir grow karneka tarika. Agar aap isko follow karenge to main guarantee deta hoon ki aapka channel zaroor grow karega. Main aasa karta hoon ki aapko Yeh pasand aaya hoga. Agar pasand aaya to zaroor aap mere site ko check kar sakte hain.
0 Comments: