what happens with half downloaded files in hindi
what happens with half downloaded files full explaination in hindi with detail
This only for educational purpose
what happens with half downloaded files in hindi
Introduction
what happens with half downloaded files in hindi : To question Yeh Hai ki agar hum koi file download kar rahe hain aur wo aadha ya 60% se 70% ya kitna bhi download hua hai aur usko cancel kar diya jaaye to wo kahan jaata hai? To 60% se 70% tak download gogaya hai na, to kayede se dekha jaaye to 70% jo file ka hissa hai wo humare Paas Aachuka hai. Uska kya hota hai? Wo jaata kahan hai? To aaj issi ke baare mein baat karenge. To isko samajh ne se Pehle hum Yeh samjhenge ki file downloading kaam kaise karti hai computer ya mobile phone mein to bane rahiye end tak.
Portions of download
Dekho iske alag alag tarike hain kayi files portions Mein download hoti hain.
Example ;-
Internet download manager iska ek bahut achchha example hai. Jo ek file ko 4 ya 5 hisson Mein download karta hai. Matlab alag alag hisson Mein download karta hai parallel connection chalte rehte hain same IP se aur wahan se wo download hota rehta hai. Last Mein jab Saare download ho jaate hain to combine karke unn 4 ya 5 hisson ko ek file bana deta hai. Yeh aise kaam karta hai.
Types of download
Ab download 2 tarike ke hote hain ;-
(I) Resumable
(II) Non-resumable
Resumable download
Yahan par jo Resumable download hota hai Ismein hota Yeh Hai ki aap agar abhi kuch download kar rahe hain to usse aap pause kar sakte hain aur Baad Mein ya Phir dusre din bhi download kar sakte hain.
Non-resumable download
Ismein hota Yeh Hai ki agar aap kuch download kar rahe ho aur usse pause kar dete ho ya galti se pause ho jaata hai to aap usko continue ya Phir resume nahi kar sakte. Aapko Phir se restart karna padega. Halanki Ismein pause ka button show karta hai lekin aap pause kar dete ho to wo resume nahi ho sakta aapko restart hi karna padega.
Why it happens with Non-resumable downloads
what happens with half downloaded files in hindi : To aisa kyun hota hai? To Usmein hota hai sessions. Jo sessions aap resume kar sakte hain wahan Resumable download hota hai. Jahan par Phir se suru karna padega aapko, ek alag identifier hota hai har download ka to wahan aapko Yeh technique apply karna padega ki aapko restart hi karna padega.
Where it goes
what happens with half downloaded files in hindi : Agar aapka Resumable hai to wo jo 70% ya Phir kitna bhi percent file downloaded hai wo aapke PC ya phone Mein rahega ek temporary file banke. To aap kuch time tak ya 1,2 din ke andar aap usko resume kar sakte ho. Aur wo Phir se wahi 71%, 72% karke download hona start ho jaayega. Depend karta hai ki kaunse type ka download hai aur aapka jo download manager hai wo kya Resumable downloads ko support karta hai ya nahi.
To aise case Mein Jo Resumable hai to uska jo aadha jo file ka part hai jo download ho gaya hai wo aapke PC ya phone temporary file banke rehta hai.
Lekin main aapko bata doon ki wo jo file hai wo abhi usable nahi hai aap usko use nahi kar sakte. Kyun ki wo aadhi download huyi hai. Bahut Saare cases Mein inka ek ajeeb sa extent hota hai, format hota hai jaise ;- Mp4 ki file hai, normally aap temporary file mein jaakar dekhoge to Video.mp4.tempt. Ya aise tempt. extention aur juda hua hota hai, kyun ki wo temporary file hai usko aap use nahi kar sakte.
To tempt. extention ko aap Mp4 Rehne dein to aap usko play ya Phir use kar sakte hain. Aisa zaroori nahi ki har device Mein Ho.
Agar aapka download Non-resumable hai jisko aapne pause ya cancel kar diya to wo aapke temporary file mein bhi nahi rehta wo delete ho jaata hai aur wo storage bhi nahi leta.
How to determine download types
Iska ek simple sa tarika hai ki jab bhi aap koi file ya Phir kuch bhi download karein to usko turant pause aur resume karke check karein ki wo pause karne ke Baad resume hota hai ya nahi.
Agar wo resume ho jaata hai to Resumable download hai aur agar wo Phir se restart hota hai to Non-resumable hai to isse aise check karein.
Conclusion
what happens with half downloaded files in hindi : To maine aapko yahan par bata diya hai ki jo aadha download file hota hai uska kya hota hai aur usko resume kar sakte hain ya nahi sab kuch. I hope aapko Yeh samajh Mein aagaya hoga aur padhne ke liye dhannyabaad.
0 Comments: