mobile radiation and its effectsects on humans full explaination in hindi
|
Mobile Radiation |
mobile radiation and its effects on humans in hindi
Introduction
mobile radiation and its effects on humans in hindi : Hello doston swagat hai humare ek aur naye blog Mein Ek aur naye topic ke Saath. Aaj kal mobile phones humare daily life ka ek hissa ban chuke hain. Iske bahut Saare fayede bhi hain aur nuksaan bhi. Unmein se ek mobile Radiation bhi hai jo ki sabse nuksaan dayi mana jaata hai to aaj hum issi ke baare mein Jaanenge ki Yeh Radiation kya hai, isse kya hota hai, aapka phone kitna Radiation produce karta hai aur isse kaise bacha Jaa sakta hai to bane rahiye Iss blog ke end tak.
Mobile Radiation and other Radiation
mobile radiation and its effects on humans in hindi : Aap sabhi mobile ka istemaal to karte hi honge to aapko batadein ki zyada mobile ka istemaal karne se aapko zyada khatra hota hai Radiation ka.
|
Radiation |
Mobile phone se hone wale nuksano Mein se sabse zyada khatarnak hai
mobile Radiation. Batadein ki Yeh Radiation humare health kr liye bahut khatarnak hota hai. Radiation ko hindi mein
bikiran Kehte Hain aur Yeh humare environment Mein fayli ek aisi energy hoti hai jo invisible roop Mein chalti hai aur jinhe hum radio tarang bhi Kehte Hain. Yeh tatange insaano ke dwara banayi gayi bhi hoti hain aur kuch tarangein natural bhi hoti hain. Jaise ki sunlight Mein Bhi
Radiation hota hai. Lekin Yeh humare earth ke
ozone layer ke zariye sokh liya jaata hai. Aur isiliye Yeh Radiation hume nuksaan nahi pahucha pata.
Iske alawa X-ray aur T. V. ke remote se bhi Radiation nikalta hai aur aapke khana pakadne wale micro wave se bhi Radiation nikalta hai.
|
Radiation through X-ray |
Doston jab koi X-ray karta hai to yahi tarngein haddiyon ke aar par jaati hain.
Doston mobile istemaal karte samay humare sareer Mein Jaane wale Radiation ko Specific Absorption Rate (SAR) Kehte hai aur humare India Mein iske liye Pehle se hi law hai jiske anusaar har mobile ka Specific Absorption Rate (SAR) value 1.6 w/KG se zyada nahi hona chahiye. Agar Yeh 1.6 w/KG se zyada hota hai to Yeh aapke liye bahut hi harmful hota hai aur aapko uss phone ka istemaal nahi karna chahiye.
Check Your SAR value mobile radiation and its effects on humans in hindi : Agar aap Jaanna chahate hain ki aapke mobile ka SAR value (Radiation level) kitna hai to apne phone dialer mein *#07# dial Karen. Agar Ismein aapka SAR value 1.6 w/KG se zyada aaraha hai to apna phone turant badal dein. Kyun ki Iss tarah ke phone bahut zyada Radiation produce karte hain jo ki aapke liye bahut harmful hai.
|
SAR value |
But doston kuch purane models ke phone Mein *#07# nahi chalta hai. To iske liye Google Mein jaayen aur apne phone ka model daalein aur SAR value likhein aapko apne phone ka SAR value pata chal jayega.
For example;-
Galaxy s9 SAR value aur search karen.
Agar Yeh bhi kaam nahi karta to aapka jo phone hai uske official site par visit karen aur Usmein apna phone search karen aur specifications ke andar definetly aapko SAR value mil jayega.
Agar aapke phone ka SAR value 1.6 w/KG se kam hai tab bhi aapko kuch safety precautions lene chahiye. Aur wo kaunse safety precautions hain wo jaanne ke liye niche padhein.
Effects of Radiation
mobile radiation and its effects on humans in hindi : Aam tar par mobile se itna khatra nahi hota par mobile towers se zaroor nuksaan hota hai.
|
Mobile towers Radiation |
Mobile towers jahan bhi hote hain uss area ke 300 meter ke dayere Mein bahut zyada Radiation hota hai. Yeh Radiation itna khatarnak hota hai ki insaano Mein cancer hone ke chances 3 guna badh jaate hain.
Keral Mein hue ek research se Yeh pata chala hai ki bahut Saare Chhote Chhote pakshiyon ki sankshya Mein bahut matra Mein girawat aayi hai. Tower Mein jitne zyada entina hote utna zyada khatra hota hai.
Protect yourself from phone Radiation
To sabse pehle
(I) Jitna possible ho sake wired headphones ka istemaal kijiye calls karne ke liye ya Phir aap music sunte hain to headphones ka istemaal karen aapke liye best hoga.
(II) Bluetooth head phones ko ignore Karen kyunki inmeinse bhi Radiation nikalta hai.
(III) Raatko sote Waqt mobile ko apne se kam se kam 2 meters ki doori par rakhein.
Conclusion
mobile radiation and its effects on humans in hindi : To yeh the doston mobile phone se hone wale Radiation ke nuksaan aur bachne ke kuch tarike i hope aapko pasand aaya hoga dhannyabaad.
0 Comments: