Internet
money
Technology
trending
Affiliate Marketing kya hai aur kaise kaam karta hai hindi mein
Affiliate Marketing kya hai aur kaise kaam karta hai aur isse paise kaise kamaye
Earn money from Affiliate Marketing |
Affiliate Marketing kya hai aur kaise kaam karta hai hindi mein
Affiliate Marketing kya hai aur kaise kaam karta hai hindi mein : Hum aapko batane wale hain ki aap thode se mehnat se online paisa kama sakte hain. Aaj kal technology ke Saath Saath online earning ki bhi nayi taknikein badhti Jaa rahi hain. Aaj kal bahut se log hain jo online kaam karke Internet se paisa kama rahe hain. Koi Blog to koi Website bana raha hai, par aaj Mein aapko ek aisa tarika batane wala hoon jisse ki aap Internet se bahut paisa kama sakte hain.
Aaj Mein aapko "Affiliate Marketing" baare mein batane wala hoon ki Yeh kya hai!? Kaise kaam karta hai? Isse kaise jud sakte hain aur paisa kama sakte hain. Sabse Pehle hum Jaanenge ki "Affiliate Marketing" kya ha
Affiliate Marketing kya hai aur kaise kaam karta hai hindi mein : "Affiliate Marketing" kamai ka ek aisa tarika hai jismein ek byakti apne kisi online source jaise ki Blog, Website ya Social Media platform ke zariye kisi annya company ke product ki marketing karta hai ya promote karta hai aur wo company uss byakti ko uske product ke har ek kharid dari par kuch commission ya Phir kuch paise deti hai. Hala ki jo bhi commission milta hai wo uss product per depent karta hai ki wo kis tarah ka product hai.
Aisi bahut si company's hain jo "Affiliates programme" chalati hain Taaki wo apne products ko adhik se adhik logon tak pahuncha sake aur isi ke liye jo bhi byakti unke products ko apne Blog ya Website ke zariye recommend karta hai usse wo company commission deti hai, isse company aur uske product ki marketing karne wale byakti dono ko hi bahut fayda hota hai.
"Affiliate Marketing" ke Saath judkar kaam karna bahut aasan hota hai, kyun isse har wo byakti paisa kama sakta hai jo online business karta hai. Yeh Khaas karke unn Bloggers ya YouTubers ke liye bhi ek behtarin tarika hai jinka Blog ya YouTube channel "Google adsense" se approved nahi ho paata. To suru karte hain.
How Affiliate Marketing Works
Affiliate Marketing kya hai aur kaise kaam karta hai hindi mein : Jabse online shopping ki diwangi badhi hai doston tabse logon ne dukano Mein Aana Jaana kam kar diya hai jisse log bazaar Mein aane wale naye products se anjan reh jaate hain, Saath hi log social media ya Internet par apna zyada samay guzarte hain isiliye T. V. se bhi logon ki duriyan badhti Jaa rahi hain jahan wo naye naye products ke advertisements se ban hit ho rahe hain. Isiliye companyon ne "Affiliate Marketing" ka tarika nikala hai jisse unke products ki advertisements bhi ho jaye aur uske aadhar par uski kharid dari bh obadh jaaye. Aaj adhikar log online kaam karke hi apna income kar rahe hain. Aise hi zyada tar business men paisa kama rahe hain.
Affiliate Marketing kya hai aur kaise kaam karta hai hindi mein
"Affiliate Marketing" se jud ne ke liye byakti ko kisi bhi company ke "Affiliate Programme" ko join karna hota hai. Aisi bahut Saari "Affiliate Marketing" companies hain jo Internet ke zariye "Affiliate Programme" chalati hain.
Jaise ki ;-
(I) Amazon
(II) Flipcart
(III) Hostgator
(IV) Bluehost etc.
Kuch iske examples hain jo "Affiliate Programme" chalati hain. Yeh companyaan apne products ko promote karne ke liye apne 'Affiliate' ko achchha paisa deti hain.
Whoes are Affiliates
'Affiliate' unhe kaha jaata hai jo byakti kisi "Affiliate Programme" ko join karke unke products ko apne sources jaise Blogs aur Websites par promote karte hain. Yeh koi bhi byakti ho sakta hai jo online business karta hai.
How Affiliates earn money
Affiliate Marketing kya hai aur kaise kaam karta hai hindi mein : Jab koi byakti 'Affiliate' banta hai to uss byakti ko companies apne products ko promote karne ke liye graphical banner ya Phir links provide karte hain. Aur unn 'Affiliates' ko uss link ko apne Blog ya Website par alag alag tarike se lagana hota hai. Inhi links ko click karke hi visitors products sale karne wale websites par redirect hote ya pahunchte hain jahan wo products kharid sakte hain uske badle 'Affiliates' ko uss product ke har ek sell par commission milta hai. "Affiliate Programme" se judne se Pehle ek baat Dhyaan rakhna hai ki kisi bhi tarah ke products promote karne ke liye apne Blog ya Website par bahut hi zyada traffic hona zaruri hai kyunki aapke blog ya Website par zya visitors aayenge to hi aapko companies link provide karenge aur aap ka zyada income bhi hoga. Iske alawa aapka YouTube channel hai usse bhi aap "Affiliate Marketing" kar sakte hain Ismein aap apne content se related products ki selling kar sakte hain jisse aapki kamai zyada ho.
Agar aapke Paas koi Blog, Website ya YouTube channel naa ho to aap social media apps jaise ki ;-
(I) Facebook
(II) Instagram
(Iii) WhatsApp groups etc.
Bhi kisi product ka link share karke paisa kama sakte hain. Lekin aapke social media accounts par followers ya members ki sankhyaa zyada hona chahiye.
How to collaborate with Affiliate Marketing
Affiliate Marketing kya hai aur kaise kaam karta hai hindi mein : Sabse Pehle aapko ek product bechne wali site par jaakar 'Affiliate' banne ke liye account banana hota hai. Agar aapko nahi pata ki kaunsi company "Affiliate Programme" chalati hai to aap Google par jaakar "Affiliate Marketing" likh kar search karen.
Example : Affiliate marketing(company name)
Uske Baad aapko uss website par visit karke, uss website par Join Affiliate/Affiliate Programme wale option par click karke apna account banana hai.
Account banane ke liye aapko aapki kuch details bharni hongi jaise;-
(I) Full name
(II) Address
(III) Country
(IV) State
(V) Email Id
(VI) Mobile number
(VII) PAN card details
(VIII) Blog or Website or YouTube URL
(IX) Payment details
Yeh sab details bharne ke Baad aap register kar lete hain. To company aapke diye gaye Blog, Website ya YouTube ke URL ko check karne ke Baad confirmation mail bhejti hai uske Baad apna account bana kar login karke aap jis bhi company ke site se aap jis bhi product ko sale karna chahate hain uski link ko copy karke apne website ya Blog par lagana hai jahan se aap har kharid dari par aap commission paa sakte hain.
Affiliate Marketing kya hai aur kaise kaam karta hai hindi mein : "Affiliate Programme" se payment paane ke liye zyada tar companies bank transfer ya 'Paypal' ka use karti hain. Yahan par ek aur baat Dhyaan rakhne yogya hai doston, ki adhikar sabhi "Affiliate Programme" se judne ke liye kisi bhi tarah ka bhugtaan nahi karna hiya hai. Yadi koi join karne ke liye aapse paison ka demand karta hai to Usmein aap join naa karen.
Sabhi ke man Mein Ek aur sawaal aata hai ki hum Affiliate Marketing se kitne paise kama sakte hain? To Yeh yeh puri tarah se 'Affiliates' par hi depend karta hai ki wo kitne visitors ko attract kar paa rahe hain aur unki kitni sales hui hain. Jitni zyada aap sell kar sakte hain aap uss hisaab se hi aapko commission bhi milega. Jisse aap dheron kama sakte hain.
Conclusion
Affiliate Marketing kya hai aur kaise kaam karta hai hindi mein : To doston aapko Iss blog se pata chal gaya hoga ki Affiliate Marketing kya hota hai aur isse paise kaise kamaye Jaa sakte hain. Aaj ke samay Mein Affiliate Marketing paise kama e ka ek behtarin zariya hai. Agar aap is par achchhe se kaam karte hain to aap har mahine lakhon rupay bhi kama sakte hain.
Main aasa karta hoon ki aapko Yeh pasand aayega dhannyabaad.
0 Comments: