location
mobiles
phones
Technology
How to erase data from lost mobile on android hindi mein
I found my forget mobile so how can I unlock my mobile locked by Find my device.
Lock and erase data of lost phone |
This Article is written in hindi
How to erase data from lost mobile on android hindi mein
Introduction
How to erase data from lost mobile on android hindi Mein : Yeh Find my device ka dusra Bhaag hai doston Pehle Bhaag Mein Humne bataya hai ki location kaise trace kiya jaaye aur Ismein bataya hai ki aap kaise uss phone ko unlock karenge jisko aapne Find my device se lock kiya hai. Yahan par hum aapko phone ko unlock karne ke tarike ke Saath aur bhi bahut kuch share karenge full details ke Saath.
Part-1 of this post trace phone location
How the phone had locked
Sabse Pehle to Jaane ge ki wo phone kaise Lock hua? To sabse pehle;- Maan lijiye ki aapne uss phone ko Find my device se trace kiya hai to uss to uss phone ke Saath kya karna chahate hain?
Aur jaise hi aap uss phone ke dikhaye hue location par click karenge to aapke Saamne 3 options show ho jaayenge aur wahi main cheez hai wo hain :
How to erase data from lost mobile on android hindi mein
Option-1
Play phone's ringtone
(ismein hoga Yeh ki jaise hi aap uss option par click karenge uss phone Mein Jo bhi ringtone set hoga wo automatically bajne lagega aur kuch nahi hoga bas ringtone bajega agar aap chahein to usko band bhi kar sakte hain uss par band karne ka option bhi hota hai).
Option-2
Secure it
(ismein hota Yeh Hai ki aap uss phone ko apne phone se lock bhi kar sakte hain bas aapko Usmein Sirf aapka phone number daalna hai jo abhi aapke Paas Hai aur ek Password jo bhi aap chahein aur wo lock ho jayega).
Option-3
Erase all data
(Ismein aap uss phone ka sara data format kar sakte hain kyun ki uss phone Mein aapka email id hota hai to aapke email Mein jitni bhi data hai ya phone Mein wo sab format ho jayenge aur kisiko aapka koi bhi data nahi milega).
Aaj ka humara main topic Yeh Hai ki kaise hum uss locked phone ko unlock karen to chaliye suru karte hain.
How to erase data from lost mobile on android hindi mein
How to unlock the phone
Jaisa ki aapne option-2 Mein dekha ki kaise hum phone ko lock kar sakte hain. Aur usko unlock kaise karen?
Sabse Pehle to iske 3 tarike hote hain. Wo hain;-
(I) Aapne jis phone ki madad se uss phone ko lock kiya ussi phone se aap unlock kar sakte hain.
(II) Aur dusra tarika Yeh Hai ki aap ko uss kho gaye phone ko dhund ke khud manually Password daal ke unlock karna hoga.
(III) Teesra tarika Yeh Hai ki aap uss locked kiye gaye phone ko call karenge jis phone ka number lock karte Waqt aapne uss Mein diya tha to uss phone ka lock turant khul jayega.
Jab aap uss phone ko lock karte hain uss Waqt aap kisi bhi number ko Usmein register kar sakte hain. Aur wo phone number uss locked hue phone ke screen par show karega aur agar wo phone kisi ko mila hai to wo kuch bhi nahi kar payega uss phone ka sibaye aapko call karne ke.
Conclusion
To Yeh tha wo tarika jisse ki aap lost phone ko locked aur unlocked kar saken. Aur Bhi Kuch details uske Saath. Main aasa karta hoon ki Yeh aapko pasand aayega dhannyabaad.
0 Comments: