Captcha verification |
Captcha verification kya hota hai
Introduction
Captcha verification kya hota hai: Aksar aap logon ne dekha hoga Google Mein kisi naa kisi website par ki Usmein CAPTCHA verification hota hai, aur I am not a robot likha hota hai aur kuch letters aade tede likhe hote hain unhe hume repeat karna hota hai ya Phir kuch captcha verification kuch pictures hote hain jinhe select karke verify karna hota hai.
Aur aakhir kyun hume proof karna hota hai ki hum robots nahi hain balki humans hain. To aaj hum issi ke baare mein baat karenge to Jaane ke liye bane rahiye anth tak.
Why Captcha Verification needed
Captcha verification kya hota hai : Main aapko bata doon ki internet par jo traffic hai matlab Internet ko istemal karne wale log Internet pe log kam hain aur machines, bots, scrawlers, spiders Yeh zyada hain. Matlab Internet ka istemal machines zyada karti hain aur Insaan kam.
Kuch cheezen insaano ke liye banayi jaati hain. Yeh bola jaata hai ki bhai Yeh website bani hai ya service bani haihum chahate hain ki isko Insaan istemal kare naski automatic robots, machines Yeh sab istemal naa karein.
Kyun ki hota Yeh Hai ki kisi bhi website ko visit karne ki ya Phir kisi service ko istemal karne ki ek limit hoti hai. Agar wo limit bots, scrawlers, scripts sabhi consume kar lenge to uss service ko aam Insaan istemal hi nahi kar payenge aur jab log bits, scrawlers, spiders Yeh Saari cheezon ka istemal karenge, bahut Saare ko istemal karenge. To isse unfair tarike se kisi service ko istemal kiya Jaa sakta hai. Main aapko iska ek example deta hoon
For example;-
Ek email service hai jisse aap email bhej sakte hain,to email bhejne ke liye kya karna padta hai? Apne gmail pe Jaana padta hai ya kisi bhi email service pe Jaana padta hai aur account banana padta hai. Account banate hain aur mail type karte hain aur usko send karte hain. To Yeh Ek step by step procedure hai.
Kya Hoga agar koi Insaan ek aisi script bana de jo har 2 seconds Mein Ek Gmail register kare. Matlab script hi automatic aapko bas ek button press karna hai wo script activate hogi, koi bhi ek email Id ka register karegi apne aap system Mein uske Baad ek email type karegi aur bhejdegi Phir ek aur email register karegi aur Yeh process chalta rehega, jab tak wo asankshya email nahi ban jaate.
Automation ka zamana hai, halaki Yeh Ek achchhi cheez hai isko istemal kiya jaata hai. Automation ek alag field hai usko istemal kiya jaata hai.
Lekin usko wahan istemal nahi kiya jaata jahan par usko Iss tarike se istemal karne ki permission nahi hai jo ki normal insaano ke liye banaya gaya hai ek normal Insaan kya karta hai wo 10 hazar email Id nahi banata uski maximum 5 email Id ho sakti hain 4,3,2 aise ho sakti hai. Isiliye wahan par wo Captcha verification hota hai.
To logon ko Yeh lagta hai aur Yeh system banane wale jo developers hote hain isiliye daalte hain Taaki koi Insaan hi aake unhe repeat padhke daale. Agar wo jo script aayengi wo script wahan phas jayengi. Jab naya account bana rahi hongi sab kuch fill kar dengi automatically. Lekin jo Captcha verification aayega usko wo fill nahi kar payegi to next step par badh hi nahi payegi, to wo ek account create hi nahi kar payegi.
Insaan ki to limit hai na ki 5 minutes Mein Ek ya 2 Id wo bana sake. Par machines kiimit nahi hoti. Wo 2 minute Mein 20 Id tak bhi bana sakti hain. To Iss cheez ko rokne ke liye wo Captcha verification lagaya jaata hai, Taaki Sirf Insaan hi istemal kar paye naaki Yeh bots, scripts, scrawlers bagera.
Smart bots or scripts
Captcha verification kya hota hai : Main aapko bata doon ki logon ne aisi scripts taiyaar karli hain ki Yeh Jo Captcha ko bhi bypass kar deti hain. To inka ek aur ilaaz nikala gaya uske liye niche padhein.
I am not a robot
Captcha verification kya hota hai : To inn smart scripts aur bits ko rokne ke liye Google ki ki taraf se ek verification nikala gaya jo ki i am not a robot likha hota hai.
Ismein bahut Saari images hoti hain unmein likha hota hai ki boats wali pictures ko select karo aur bhi bahut Saare jaise ki;- bicycles, mountains, bridges etc. Aur wo photos bhi alag alag parts Mein devided hoti hain to jo scripts hain wo unn photos ko identify nahi kar paate unko surf Insaan hi identify kar sakta hai. To isiliye Yeh I am not a robot wala Captcha laya gaya.
ReCaptcha
Captcha verification kya hota hai : To baat aati hai reCaptcha ki to Yeh laya gaya Captcha ke Baad Ismein hota Yeh Hai ki aapko Sirf Mark(tik) lagana hota hai circle par. Aur Usmein i am not a robot likha rehta hai. To isse hota Yeh Hai ki wo jo bots hain aur robots aapko to patah hi hai ki robot kabhi jhooth nahi bol sakte to Usmein I am not a robot likha hota hai to wo usko padhte hain aur sochte hain hum to robot hain to hum Iss par kyun click karein lekin Insaan kar leta hai. To Yeh tha reCaptcha ka kaam.
Conclusion
Captcha verification kya hota hai : To yahan par maine bataya hai ki Yeh Jo Captcha verification aur I am not a robot wali cheezen kyun banaya Jaata Hai. I hope aapko samajh mein aagaya hoga. Padhne ke liye dhannyabaad.
0 Comments: