How police track mobile using imei number
Trace location |
THIS POST IS WRITTEN IN HINDI
SUBJECT:
Aksar aap logon ne suna hoga padha hoga phone location trace karne Mein Aur movies Mein Bhi dekha hoga ki police kaise phone ko 20 seconds ya 1 minute ke andar phone ki location ko trace kar leti hai.
To aaj hum issi tpoic ko lekar kuch Dus uss karenge ki police kaise phone ki adject location trace karti hai.
Sabse Pehle to hume yeh Jaan naa padega ki police kis cheez ki madad se location trace karti hai to suru karte hain bina kisi deri ke.
IMEI Number
To sabse Pehle jaante hain ki IMEI number kya hai.
IMEI (International mobile equipment identity) yeh ek aisa unique serial number hota hai jo har mobile phone Mein paya Jaata Hai. Aur issi number ko lekar police phone location trace karti hai.
Agar aapko nahi pata ki aapka IMEI number kya hai to usse Jaan ne ke liye aapko apne phone dialer mein simply dial karna hoga *#06# aur aapko aapka IMEI number mil jayega.
HOW POLICE TRACE LOCATION
Sabse Pehle police aapse ye number leti hai, uske Baad wo uss number ko jitne bhi telecom operators hain jaise ki idea, vodaphone, jio, Airtel, aircel, Bsnl etc. Unhe provide karti hai aur unko kehti hai ki Iss number ka last location chahiye hume.
Aur jaise hi uss phone ko koi (jis byakti ko phone mila) switch on karta hai aur ya Phir uss sim ko kisi aur phone Mein lagakar switch on karta hai to turant telecom operators ko pata chal Jaata Hai ki wo phone kis area Mein Hai aur usme konsa sim laga hai uska number aur usme filhal koi aur dusra sim bhi use ho raha hai wo sab police ko bata dete hain.
Uske Baad uss phone ko ya Phir chori karne wale byakti to pakad ne ke liye ek method ka use karti hai hai use TRANGULATION kaha Jaata Hai.
TRANGULATION
Iss method Mein hota Yeh Hai ki police uss area matlab jo telecom operators ne provide kiya hota hai police ko uss phone aaspas jo bhi networks hote hain unmein se 3 networks ko trace karti hai uss phone ke aas pas wale networks ko. Uske Baad agar wo byakti uss phone ko switch on karta hai to unn networks Mein signal aajata hai aur unn teeno networks Mein Jo area common hota hai to police khud Jaake wahan par manually search karti hai aur uss chor ko pakad leti hai.
Lekin ek muskil hai ki agar wo byakti uss phone ko thodi der on karta hai ya Phir Koi emergency call karta hai aur jaldi uss phone ko switch off kar deta hai aur kisi aur area Mein chala Jaata Hai to police ko uss phone ka last location hi pata chal ta hai aur new location pata nahi chal pata to isiliye police ko jaldi se jaldi uss phone wale ko pakad naa hota hai.
CONCLUSION
To Yeh tha doston ki police kisi phone ke kaise trace karti hai, ya Phir kisi kho gaye phone ko ya Phir kisi chori kiye gaye phone trace karke uss chor ko pakad leti hai.
I hope aapko Yeh topic pasand aaya hoga to dhannyabaad milte hain kisi aur blog Mein kissi aur topicle Saath.
0 Comments: